Shamsud Duha Par Laakho(n) Salaam Lyric

Sunday 2 March 2014



Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam
Badrud Duja Par Laakho(n) Salaam

Aala Se Aala Tera Maqaam
Sam Ambiya Ka Tu Hai Imaam
Qul Awliyah Hai Tere Ghulam
Shamsud Duha Par Laakho(n) Salaam

Hai Hukmarani Kis Shaan Se
Kaim Hai Tere Faizan Se
Duniya Wa Dee(n) Ka Saara Nizaam
Shamsud Duha Par Laakho(n) Salaam

Teri Ataa Ki KYa Baat Hai
Abre Karam Ki Barsaat Hai
Radde Balaa Hai Tera Hi Naam
Shamsuz Zuha Par Laakho(n) Salaam

Itna Karam To Farmaiye
Rouze Pe Sabko Bulwaiye
Haazir Yaha Hai Jitne Ghulam
Shamsud Duha Par Laakho(n) Salaam

Anjum Ke Aaqa Anjum Hi Kya
Tere Bhikari Tere Gada
Saare Khwas Aur Saare Awaam
Shamsud Duha Par Laakho(n) Salaam

       Written By :
Anonymous
       Recited By :
Unknown
       Published By :
Naat Lyrics Official

 
Naat Lyrics Official © 2013 | Template Designed By W3School This Website is Chrome Supported