Marhaba Aaj Chalen Ge Shah-e-Abrar Ke Paas Naat Lyrics

Sunday, 30 March 2014


Marhaba Aaj Chalen Ge Shah-e-Abraar Ke Paas
Insha’Allah Pauhnch Jaaein Ge Sarkaar Ke Paas

Mil Chuka Izne Mubarak Ho Madine Ka Safar
Qaafle Walo Chalen Dilbar-o-Dildaar Ke Paas

Main Gunahgaar Gunahoon Ke Siwa Kya Lata
Naikiaan hoti hai sarkaar niko-kar ke paas

Sar Bhi Khum Aankh Bhi Nam Sharm Se Paani Paani
Kya Karen Nazar Nahi Kuch Bhi Gunahgar Ke Paas

Khoob Ro Ro Ke Wahan Ghum Ka Fasana Kehna
Ghumzadon Aao Chalen Ahmed-e-Mukhtar Ke Paas

Dono Aalam Ki Bhalayi Ka Sawali Ban Kar
Ek Bhikaari Hai Khara Aap Ke Darbar Ke Paas

Istikaamat Ise Imaan Pe Ata Kar Deejayein Ya Rasool Allah
Ek Bhikaari Hai Khara Aap Ke Darbar Ke Paas

Kabr Me Yoon Hi Nakeeroon Me Nahi Aa Pohncha
Hai Ghulami Ki Sannad Dekhlo Attar Ke Paas

Marhaba Aaj Chalen Ge Shah-e-Abraar Ke Paas
Insha’Allah Pauhnch Jaaein Ge Sarkaar Ke Paas


       Written By :
Anonymous
       Recited By :
Owais Raza Qadri
       Published By :
Naat Lyrics Official

 
Naat Lyrics Official © 2013 | Template Designed By W3School This Website is Chrome Supported