Ya Rab Meri Soyi Hui Taqdeer Jaga De Naat Shareef Lyrics

Tuesday 11 February 2014


Ya Rab meri soyi huyi taqdeer jaga day
Aankhein mujhay di hain to Madina bhi dikha de.

Sun nay ki jo quwat mujhe bakhshi hai Khuda wand
Phir Masjid e Nabawi ki azanein bhi suna day.

Huroon ki na ghilman ki na jannat ki talab hai
madfan mera Sarkar ki basti main bana de.

Mudat say mein inn hathoon say karta hoon duaein
In hathon main ab jali sunehri bhi thama day.

Moun hasher mein mujhko na chupana parhay ya Rab
Mujh ko Teray Mehboob key chadar mein chupa dei.

Ishrat ko bhi ab khushbu e Hassan aata kar
Jo lafz kahay hein unhein Tu tu naat bana dey.


       Written By :
Anonymous
       Recited By :
Unknown
       Published By :
Naat Lyrics Official

 
Naat Lyrics Official © 2013 | Template Designed By W3School This Website is Chrome Supported